wo kahte hain ki hai TuTe hue dil par karam mera

wo kahte hain ki hai tute hue dil par karam mera
magar min-jumla-e-adab-e-gham-khwari hai gham mera

wahan sajde se ab tak qudsiyon ke sar nahin uthte
pada tha jis jagah rah-e-mohabbat mein qadam mera

zahe taqdir-e-nakaami ki teri maslahat thahri
teri marzi se wabasta hua allah re gham mera

na jaanen is safar ki manzil-e-awwal kahan hogi
fana ki aakhiri manzil pe hai pahla qadam mera

mere josh-e-talab ki shan-e-istighna koi dekhe
ki main rahbar se aage mujh se aage hai qadam mera

main wo aazurda-e-wahm-e-musarrat hun maaz-allah
ki gham ko gham samajhne se bhi ghabraata hai dam mera

ye mahrum-e-tabassum mir-e-saman-e-tabassum hai
teri bazm-e-tarab mein mo'tabar hai ashk-e-gham mera

ab aage kis se likkha jae aaghaz-e-mohabbat par
fasana khatm kar dete hain arbab-e-qalam mera

meri aawargi har qaid se be-zar hai shayad
ki ab us ki gali mein bhi guzar hota hai kam mera

baqa kahte hain jis ko wo mera ehsan hai 'fani'
wo hadis hun ki duniya-e-qadam bharti hai dam mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close