wo KHud-parast hai aur KHud-shanas main bhi nahin

wo khud-parast hai aur khud-shanas main bhi nahin
fareb-khurda-e-wahm-o-qayas main bhi nahin

faza-e-shahr-e-talab hai ana-guzida bahut
ada-shanas-e-rah-e-iltimas main bhi nahin

main kyun kahun ki zamana nahin hai ras mujhe
main dekhta hun zamane ko ras main bhi nahin

wo faisle ki ghadi thi kadi so bit gai
bichhad ke tujh se kuchh aisa udas main bhi nahin

ye waqia ki tujhe khal rahi hai tanhai
ye hadisa ki tere aas-pas main bhi nahin

hua kare jo hai 'khawar' faza khilaf mere
asir-e-halqa-e-khauf-o-hiras main bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close