wo khud to mar hi gaya tha mujhe bhi mar gaya wo apne rog meri ruh mein utar gaya samundaron ki ye shorish usi ka matam hai jo khud to dub gaya mauj ko ubhaar gaya hawa ke zakhm khule the udas chehre par khizan ke shahar se koti to pur-bahaar gaya andheri raat ki parchhaiyon mein dub gaya sahar ki khoj mein jo bhi ufuq ke par gaya wo raushni ka musafir main tirgi ka dhuan to phir bhala wo mujhe kis liye pukar gaya mein apne soch ke ham-zad ka pujari tha tera jalal meri aaqibat sanwar gaya