wo kyun na ruThta maine bhi to KHata ki thi

wo kyun na ruthta main ne bhi to khata ki thi
bahut khayal rakha tha bahut wafa ki thi

suna hai in dinon ham-rang hain bahaar aur aag
ye aag phul ho main ne bahut dua ki thi

nahin tha qurb mein bhi kuchh magar ye dil mera dil
mujhe na chhod bahut main na iltija ki thi

safar mein kashmakash-e-marg-o-zist ke dauran
na jaane kis ne mujhe zindagi ata ki thi

samajh saka na koi bhi meri zarurat ko
ye aur baat ki ek khalq ishtiraki thi

ye ibtida thi ki main ne use pukara tha
wo aa gaya tha 'zafar' us ne intiha ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close