wo mera yar tha mujhko na ye KHayal aaya

wo mera yar tha mujh ko na ye khayal aaya
main apne zehan ka sab bojh us pe dal aaya

ab us ke pas koi sang phenkne ko nahin
faza mein aakhiri patthar bhi wo uchhaal aaya

tamam bhid mein ek main hi pur-sukun tha bahut
tamam bhid ko mujh par hi ishtial aaya

ajab junun hai ye intiqam ka jazba
shikast kha ke wo pani mein zahr dal aaya

kal apne-ap se jab ladte ladte haar gaya
to ek shakhs ka phir der tak khayal aaya

wo be-sabab hi khafa tha magar main aaj 'azhar'
gale mein us ke bhi banhon ka haar dal aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close