wo nala hi nahin jo pur-afshan nahin hua

wo nala hi nahin jo pur-afshan nahin hua
wo dagh-e-dil hi kya jo numayan nahin hua

kab wahshaton se dast-o-gareban nahin hua
kab dil junun ke hath pareshan nahin hua

be-kaifiyon ke kaif mein hum aise mast the
ehsas-e-lazzat-e-gham-e-dauran nahin hua

nok-e-mizha pe qatra-e-ashk aa ke jam gaya
afsos wo bhi raunaq-e-daman nahin hua

meri junun-nawazi-e-paiham ke shaghl se
manus kyun dimagh-e-gulistan nahin hua

tahrik-e-iztirab-e-musalsal to dekhiye
dam bhar sukun-e-qalb ka saman nahin hua

dil hi nahin wo dil jo haqiqat mein ham-nashin
aaina-dar-e-azzat-e-irfan nahin hua

afsana-e-niyaz ki tamhid kya kahun
zauq-e-wafa bhi zinat-e-unwan nahin hua

tabir jis ki zeb-e-nashat-e-dawam ho
aisa to koi khwab-e-pareshan nahin hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close