wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar

wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar
numayan ho gaya zauq-e-sitam chin-e-jabin ban kar

bahut itra rahi hai raat zulf-e-ambarin ban kar
bahut maghrur hai nur-e-sahar rang-e-jabin ban kar

meri jama-dari ne raaz ye khola zamane par
khirad dhoke diya karti hai jaib o aastin ban kar

karam mein bhi magar ek ghamza-e-khun-rez shamil tha
nigahon ki taraf utthi to dil ki nukta-chin ban kar

meri diwangi thi ek sharar-e-arzu dil mein
badhi to dar par raushan hui sham-e-yaqin ban kar

payam aate rahe aksar kisi mahw-e-taghaful ke
ada-e-bar-mala ban kar nigah-e-sharmagin ban kar

wo ek sajda na ho paya jo barbaad-e-haram 'taban'
jabin-e-shauq par raushan hai pindar-e-jabin ban kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close