wo samajhta hai use jo raaz-dar-e-naghma hai

wo samajhta hai use jo raaz-dar-e-naghma hai
aah kahte hain jise sirf ek sharar-e-naghma hai

munhasir jis par azal se karobar-e-naghma hai
dard ki aankhon mein wo khwab-e-bahaar-e-naghma hai

zinda rahne ki tamanna ho to phir kya kuchh na ho
dil ke sannate pe mujh ko e'tibar-e-naghma hai

kis se kije aur kyun kije bayan-e-soz-e-dil
ye bhari duniya to yaro pasdar-e-naghma hai

aur bhi do-gam ai mahrum-e-aish-e-zindagi
hadd-e-girya se zara aage dayar-e-naghma hai

naghma-zan hun yun ki yaron ka bharam qaem rahe
warna mahfil ki faza na-saz-gar-e-naghma hai

ab hai lahje mein nukila-pan labon par zahr-e-khand
ab yaqin aaya ki 'nazish' raaz-dar-e-naghma hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close