wo sar se panw talak chahaton mein Duba tha

wo sar se panw talak chahaton mein duba tha
wo shakhs kya tha mohabbat ka istiara tha

na chand tha na sitara na phul tha na dhanak
wo phir bhi husn ki duniya mein ek izafa tha

mujhe pata hi nahin kab wo lafz-e-kun ban kar
mere wajud ke diwar-o-dar mein gunja tha

ajib baat hai dekha na tha kisi ne use
ajib baat hai ghar ghar usi ka charcha tha

kisi se koi gharaz thi na koi aas us ko
wo sari bhid se kat kar akela rahta tha

samundaron se thi gahrai us ki sochon mein
wo apni zat mein ek kaenat jita tha

'khumar' nam ke shair se mil chuka hun main
udasiyon ke ghane jangalon mein rahta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close