wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha

wo shakhs meri rasai se mawara bhi na tha
bashar bhi khair na hoga magar khuda bhi na tha

kaha shuur ne us waqt harf-e-qum mujh se
ki la-shuur jagane se jagta bhi na tha

ajab thi saat-e-aghaz-e-gulsitan-bandi
nawed-e-gul bhi na thi muzhda-e-saba bhi na tha

wo ibtida-e-safar ab bhi yaad aati hai
kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha

ghalat-numa-o-ghalat-bin hain baz aaine
is e'tiraaz ko naqqad manta bhi na tha

shahid-e-zauq-e-taghazzul tha kam-sukhan 'jafar'
ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close