wo to gaya ye dida-e-KHun-bar dekhiye

wo to gaya ye dida-e-khun-bar dekhiye
daman pe rang-e-pairahan-e-yar dekhiye

dikhla ke wo to le bhi gaya shokhi-e-khiram
ab tak hain raqs mein dar o diwar dekhiye

ukta ke hum ne todi thi zanjir-e-nam-o-nang
ab tak faza mein hai wahi jhankar dekhiye

sine mein chhup gaya hai tulu-e-sahar ke sath
ab shakh-e-dil pe wo gul-e-rukhsar dekhiye

barq-e-tapida baad-e-saba shola aur hum
hain kaise kaise us ke giraftar dekhiye

pahle bhi tez-rau the par us dil-nashin ke sath
ye chashm-e-nam ye masti-e-raftar dekhiye

'majruh' ke labon se ye khushbu na ja saki
bakhshi jo us ne daulat-e-bedar dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close