marg-e-aghyar lab pe la na saka wo qasam hun jo yar kha na saka is qadar zoaf tha ki tera naz thi tamanna magar utha na saka mar ke thanda kahin na ho jae is liye wo mujhe jila na saka bukhl dekho to meri turbat par ek aansu bhi wo gira na saka uth na jae raqib mahfil se mujh ko pahlu mein wo bitha na saka tha jo ashk-e-aziz khatir mein dida-e-tar mujhe baha na saka husn tera wo mah-e-taban tha abr-e-gesu jise chhupa na saka dar-e-fani maqam-e-laghzish hai koi apna qadam jama na saka na mila koi waqt-e-tanhai haal-e-dil yar ko suna na saka jaanta tha pade rahenge wahin is liye yar ghar bata na saka na mana lad ke wo bahut chaha aise bigde ki phir bana na saka dekh kar bad-dimaghiyan un ki nama-bar khat mera padha na saka kis tarah arz-e-muddaa karta ghair ko pas se hata na saka aarzu-mand rah gaya majnun mere aage farogh pa na saka kina shauq-e-raqib tha ai dost ki tabiat se teri ja na saka kya nadamat hui hai qatil se naz-e-khanjar gulu utha na saka khauf tha ghash unhen na aa jae main shigaf-e-jigar dikha na saka na-tawan tha 'nasim' is darja ki wo zanjir-e-pa hila na saka