wo waqiat kise yaad ek zamana hua

wo waqiat kise yaad ek zamana hua
kisi ne kya na kiya aur hum pe kya na hua

mera bura to mere hasb-e-muddaa na hua
bhala hua bhi to koi mera bura na hua

dikhate hum dil-e-pur-dagh ki bahaar use
ye manzar aur zara sa bhi khushnuma na hua

kisi ka dard-e-mohabbat agar tha kam-maya
to thahar thahar ke phir kyun zara zara na hua

tera irada mubarak tujhe magar ai dil
ye naqsh-e-pa agar us ka hi naqsh-e-pa na hua

sitam kare bhi to samjhun ki ye sitam hi nahin
khafa hua bhi to jaanon ki tu khafa na hua

kya jab aane ka iqrar aap bhul gae
ye ek wada to shayad kabhi wafa na hua

zamana aap ko aashiq-nawaz kahta hai
ye sach bhi ho to kabhi hum ko kuchh ata na hua

wo kya kahenge jo iqbaal hi na ho mujh ko
wo kya karenge jo main qabil-e-khata na hua

agarche shaikh mein lakhon karamaten aain
magar ye bande ka banda raha khuda na hua

raza-e-dost ke hote hain aur kya mani
ki mujh se un ka kabhi aaj tak gila na hua

wo khud mile to bata kya jawab dun ai dil
ye uzr lang hai koi bhi rahnuma na hua

safi' nasib bure hon to kya kare koi
nahin to qais bhi kuchh aadmi bura na hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close