dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya

dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya
un se khush ho kar liya aur kah ke bismillah piya

dekh us ki jama-zebi gul ne apna pairahan
is qadar phada ki bulbul se nahin jata piya

be-qarari ne nigah-e-simbar pheri idhar
ki inayat hum ko us simab ne ye kimiya

us ke kuche mein jise ja baithne ko mil gai
masnad-e-zarbaf par ghaalib hai us ka boriya

dil chhupa baitha to us zulf-e-musalsal se 'nazir'
ai asir-e-dam-e-na-fahmi ye tu ne kya kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close