wo zulm to karte hain saza se nahin Darte

wo zulm to karte hain saza se nahin darte
is daur ke insan khuda se nahin darte

aise bhi hain kuchh log jo daulat ke nashe mein
mazlum ki aahon se dua se nahin darte

har haal mein jine ki qasam khai hai hum ne
hum ahl-e-mohabbat hain jafa se nahin darte

hum zahr bhi pi lenge bade shauq se lekin
darte hain masiha se dawa se nahin darte

mar kar bhi dikha denge tere chahne wale
hain talib-e-didar fana se nahin darte

har haal mein manzil pe nazar hoti hai jinki
rahon mein kabhi rah-numa se nahin darte

is daur mein jina koi aasan nahin 'sagar'
har roz jo marte hain kaza se nahin darte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close