ya mah-o-sal ki diwar gira di jae

ya mah-o-sal ki diwar gira di jae
ya meri khak khalaon mein uda di jae

kaise aawaz harim-e-rag-e-jaan tak pahunche
itni duri se tujhe kaise sada di jae

hai to phir kaun hai us ot mein dekhun to sahi
darmiyan se ye meri zat hata di jae

tere bas mein hai to phir ya mujhe patthar kar de
ya meri ruh ki ye pyas bujha di jae

chakhne pae na koi bund ye jalti mitti
abr utthe to hawa tez chala di jae

kuchh dinon baad use dekha to dekha na gaya
jaise ek jalti hui jot bujha di jae

ye lahakti hui shakhen ye mahakti belen
ye hara kunj yahin umr bata di jae

aakhir is jang mein kuchh mera bhi hissa hai 'bashir'
mere hisse ki mujhe kyun na rida di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close