yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhdiyan matwaliyan katte hain ro hi ro sawan ki raaten kaliyan shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhgan ka wah khud-bakhud kis kis maze se hum ne chhadiyan kha liyan dekhen kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair khinchti hain kyun hamein kanton mein gul ki daliyan kuchh na kuchh kar baithta hun baat us ke bar-khilaf ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiyan mah asir-e-haala us ka dekh baala kyun na ho khanda-zan hon mahr par jis ki jadaw-baaliyan shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas us ke mukhde ki balaen subh tak kya kya liyan waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mein us ki jis se aankh mil gai to bas wo sab baaten usi par dhaaliyan barg-e-gul un ko kahun ya para-e-yaqut wah dekhiyo bin pan khae un labon ki laliyan kucha-e-qatil ko gar musalakh kahun to hai baja jab na tab dekho to bahti hain lahu ki naliyan khun-e-dil aankhon mein bhar aata hai jab aati hai yaad wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliyan tak-jhank us ki kahun kya main ki tifli mein bhi thin us ke hathon ghar ki diwaron mein har su jaliyan kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib hijr ki to khae jati hain ye raaten kaliyan