saton falak kiye tah-o-baala nikal gaya

saton falak kiye tah-o-baala nikal gaya
aakhir shab-e-firaq mein nala nikal gaya

wahshat ne mujh pe arsa-e-hasti kiya jo tang
ghabra ke su-e-alam-e-baala nikal gaya

sar de de yaad-e-gesu-e-jaanan ki chah mein
pita karo lakir ko kala nikal gaya

yaqub-war rota main us but ke hijr mein
yusuf mera khuda-e-taala nikal gaya

furqat mein us ki shiddat-e-girya kahan talak
barsa baras ke abr ka jhaala nikal gaya

roka kiye malaeka haft aasman ke
saton falak ko tod ke nala nikal gaya

soe na sakinan-e-mohalla sahar talak
be-sakhta jo raat ko nala nikal gaya

kyun-kar na roiye dil-e-gum-gashta ke liye
naz-o-niam se tha jise pala nikal gaya

pir-e-mughan faqir ko samjhe sharab-khor
jis mai-kade mein le ke piyala nikal gaya

jata na ghar se aap ke zid se raqib ki
lekin ba-pas-e-khatir-e-wala nikal gaya

jhatka jo uljhi zulf ko jhunjhla ke yar ne
haale se machhli kan se baala nikal gaya

kis rashk-e-gul ki dekhi qaba us ne tang chust
bahar jo apne jame se lala nikal gaya

dana tha kya haram ka rizq-e-halal mein
munh se jo ai karim niwala nikal gaya

buta kaho na qamat-e-dilbar ko shaero
ab sarw se bhi wo qad-e-baala nikal gaya

raunda kiya main khar-e-bayaban ko ai junun
har ek bacha ke panw ka chhaala nikal gaya

kambal mein apne garm raha main faqir-e-mast
kiya gaya na dur-dar duna nikal gaya

phir chal dila na kucha-e-gesu ka qasd kar
hai aaj rah kat ke kala nikal gaya

ukta gaya ba-tang hua kya kare gharib
aakhir tumhaara chahne wala nikal gaya

mehman hai faqir hai sun lenge aap 'rind'
murshid ka apne kar ke pyala nikal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close