yaadon ki rakh mein har lamha dhuan dhuan hai honton pe bikhra har ek naghma dhuan dhuan hai mazi ki aag mein jal ke umr guzri sari ab bujh gai hun to ye chehra dhuan dhuan hai insaniyat ki lau bujhti hai gali gali mein aur shahr bhar mein har ek rasta dhuan dhuan hai tanhai ki hawa se ek shama haari kal shab kamre ka mere kona kona dhuan dhuan hai tu ruth kar na mere dil ko jala mere yar lag ja gale ki dil ka shoala dhuan dhuan hai duniya ki dhup mein jaane kab se hi jhulas kar mere wajud ka har zarra dhuan dhuan hai ek thahri thahri si khwahish ki tapish se 'wani' nam aankhon ka ye gila sahra dhuan dhuan hai