yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya

yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya
gaya zer-e-zamin jo koi zer-e-asman aaya

na ho garm is qadar ai shama is mein tera kya bigda
agar jalne ko ek parwana-e-atish-ba-jaan aaya

khuda jaane mila kya mujh ko ja kar un ki mahfil mein
ki ba-sad na-muradi bhi wahan se shadman aaya

jamaya rang apna main ne mit kar tere kuche mein
yaqin-e-ishq mera ab to tujh ko bad-guman aaya

na ho aazurda tu aazurdagi ka kaun mauqa hai
agar mahfil mein teri 'wahshat'-e-azurda-jaan aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close