yahan har lafz mani se juda hai haqiqat zindagi se mawara hai abhi chehre ka khaka ban raha hai abhi kuchh aur bhi mere siwa hai hamein jo kuchh mila naqis mila hai magar khush-fahmiyon ki intiha hai koi chehra nahin khushbu ka lekin tamasha phul walon ka laga hai main us ki barishon ka muntazir hun wo mujh se mere aansu mangta hai yahi bais hai meri tishnagi ka samundar mujh se pani mangta hai jahaalat rog tha jo dil ke andar wahi mazhab hamara ho gaya hai muqaddas ho gaya hai jhut mera mujhe to ab usi ka aasra hai main pyasa hun purane mausamon ka magar ab wo zamana ja chuka hai kahani barg-e-sozan se ibarat wagarna bahr-o-bar bhi hashiya hai nahin hai khwab si taswir jis ki to phir us khwab ki tabir kya hai guman hangama-arai ka aadi yaqin tanhaiyon mein bolta hai ye duniya be-khabar logon ki 'ahmad' wo duniya ka nahin jo jaanta hai