abru to dikha dijiye shamshir se pahle

abru to dikha dijiye shamshir se pahle
taqsir to kuchh ho meri tazir se pahle

malum hua ab meri qismat mein nahin tum
milna tha mujhe katib-e-taqdir se pahle

ai dast-e-junun tod na darwaza-e-zindan
main puchh to lun panw ki zanjir se pahle

achchha hua aakhir meri qismat mein sitam the
tum mil gae mujh ko falak-e-pir se pahle

baithe raho aisi bhi musawwir se haya kya
kahe ko khinche jate ho taswir se pahle

dekho to 'qamar' un ko bula kar shab-e-wada
taqdir pe barham na ho tadbir se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close