yahi nahin hai ki shanon se khun bahta hai abhi to apni miyanon se khun bahta hai wo gal surkh hue hon to yun lagen jaise safed reshmi thanon se khun bahta hai ye khamushi wo bala hai ki chikh utthe agar to sunne walon ke kanon se khun bahta hai hamare khwab patakte hain yun hamare sar tamam raat sirhanon se khun bahta hai wo jang jit ke unton ka rukh badalne lage abhi to un ki machanon se khun bahta hai ye apne daur ke sab se bade munafiq hain isi liye to zabanon se khun bahta hai tamam waqt guzarta hai zakhm sahlate tarah tarah ke bahanon se khun bahta hai hamein to ilm sikhaya nahin hai thonpa hai hamare ilmi khazanon se khun bahta hai na jaane kitne zamane guzar gae sahir na jaane kitne zamanon se khun bahta hai