ye bebasi to umuman hi sath hoti hai

ye bebasi to umuman hi sath hoti hai
hamare samne jab us ki zat hoti hai

har ek baat ki jis mein tumhaara zikr nahin
wo jaise dusre maslak ki baat hoti hai

hamare ganw mein suraj ghurub ho ki na ho
kisi ke aankh lagane se raat hoti hai

mere huruf mera zabt noch khate hain
tere khayal ki jab wardat hoti hai

ajab tarah se main sab ko pachhadta hun magar
ajab tarah se hamesha hi mat hoti hai

ye khamushi hai teri aankh ki fusun-kari
ye lafz tere labon ki zakat hoti hai

bas itna soch ke 'sahir' main us se kahta nahin
ki us ke dhyan mein shayad wo baat hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close