yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai

yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai
meri zamin se us ka makan nikalta hai

hamare shahr mein hota hai saneha lekin
khata kahan ki hai ghussa kahan nikalta hai

ye aur baat ki wo pak sar-zamin hai magar
wahan ki khak se hindostan nikalta hai

mere liye to akela khuda bahut hai magar
tumhaare waste sara jahan nikalta hai

siyah raat sitare bujhati rahti hai
ye mera khwab-sitara kahan nikalta hai

safar hai dhup samundar ka aur jazire sa
kahin kahin pe koi saeban nikalta hai

mana raha hai wo jashn-e-shabab maqtal mein
har ek lash ka chehra jawan nikalta hai

tumhaare ghar mein abhi kitni raushni hogi
hamare ghar se abhi tak dhuan nikalta hai

kaha kisi ne siyah-posh ho gaya 'khurshid'
suna kisi ne dam-e-kahkashan nikalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close