yaqin ne mujh ko asir-e-guman na rahne diya ki us ne rabt koi darmiyan na rahne diya meri nazar hi samundar ki aakhiri had thi meri thakan ne mujhe par-fishan na rahne diya kisi ne kashti utari to thi samundar mein magar hawa ne koi baadban na rahne diya koi to barf-ba-kaf dasht ki taraf aaya kisi ne bahr mein pani rawan na rahne diya har ek lafz mein yun kar diya lahu shamil ki dastan ko faqat dastan na rahne diya 'najib' kis tarah jagen ki in andheron ne sahar ka tara sar-e-asman na rahne diya