yar ulfat azab lagti hai

yar ulfat azab lagti hai
ab mohabbat azab lagti hai

dost dushman-numa jo hote hain
un se raghbat azab lagti hai

ek shikayat si jaise ghar mein gai
ab shikayat azab lagti hai

pahle pahle to us ke khwahan the
ab ye shohrat azab lagti hai

puri kar kar zaruraten ghar ki
har zarurat azab lagti hai

jab se ranjish hamari khatm hui
ab kudurat azab lagti hai

jab mili hai saza shararat ki
har shararat azab lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close