yaro nahin itna mujhe qatil ne sataya jitna ki mare dushman-e-jaan dil ne sataya kuchh sarzanish-e-kar ka shaki wo nahin hai majnun ko to hai sahib-e-mahmil ne sataya ghuncha kahun ya durj-e-guhar tere dahan ko khulna nahin is uqda-e-mushkil ne sataya aaram se soya na kamar ka teri kushta marqad mein bhi muran-e-tah-e-gil ne sataya us ka mujhe shab yaad dilaya rukh-e-pur-nur shakl apni dikha kar mah-e-kaamil ne sataya mera dil-e-sauda-zada karta na kabhi ghul is kakul-e-pechan ke salasil ne sataya afyun ki kisi roz main kha jaunga goli be-wajah rukh-e-yar ke gar til ne sataya jab bosa main mangun hun to kya kahte ho munh pher aisa to kisi bhi nahin sail ne sataya har ja mutajalli hai wo be-parda wa-lekin ghaflat ke mujhe parda-e-hail ne sataya tha ek to sayyaad giraftar qafas mein aur dusre aawaz-e-anadil ne sataya ai ham-safaran pesh-rawi ki nahin taqat kya kije hamein duri-e-manzil ne sataya pahlu mein 'nasir' aah nahin hai dil-e-muztar is sher-e-gham-aluda-e-be-dil ne sataya