zindagi be-saeban be-ghar kahin aisi na thi

zindagi be-saeban be-ghar kahin aisi na thi
aasman aisa nahin tha aur zamin aisi na thi

hum bichhadne se hue gumrah warna is se qabl
mera daman tar na tha teri jabin aisi na thi

ab jo badla hai to apni ruh tak hairan hun
teri jaanib se main shayad be-yaqin aisi na thi

bad-gumani jab na thi tu bhi nahin tha mo'tariz
main bhi teri shakhsiyat par nukta-chin aisi na thi

kya mere dil aur kya aankhon ka hissa hai magar
chadar-e-shab is se pahle shabnamin aisi na thi

kya hawa aai ki itne phul dil mein khil gae
pichhle mausam mein ye shakh-e-yasmin aisi na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close