ye aagahi hai jo karti hai mujhko zat mein gum

ye aagahi hai jo karti hai mujh ko zat mein gum
phir is ke baad main hota hun shash-jahat mein gum

ye kaenat meri jaan qufl-e-abjad hai
main kholta hun ise kar ke mumkinat mein gum

ye daere hain tumhein phir se qaid kar lenge
fana se nikle to ho jaoge sabaat mein gum

main karbala hun mujhe dekh meri qamat dekh
zamana kar nahin sakta mujhe furaat mein gum

teri judai ka nilam alag se rakkha hai
kiya nahin use duniya ke zewraat mein gum

mera budhapa meri ruh ki talash mein hai
meri jawani badan ke lawazimat mein gum

main ilm hun mujhe taskhir karna aata hai
wo jahl tha jo hua teri kaenat mein gum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close