ye baat to nahin hai ki main kam swad tha

ye baat to nahin hai ki main kam swad tha
tuta hun is bina pe ki main kaj-nihad tha

ilzam apni maut ka mausam pe kyun dharun
mere badan mein mere lahu ka fasad tha

ab main bhi jal ke rakh hun mere jahaz bhi
kal mera nam tariq-e-ibn-e-ziyaad tha

iman bhi laj rakh na saka mere jhut ki
apne khuda pe kitna mujhe e'timad tha

gahre samundaron mein bhi patthar mile mujhe
tha main guhar-shanas magar sang-zad tha

tu baadban darida safine ka nakhuda
aur qulzum-e-sarab ka main sindbaad tha

ab hun zaban burida to ye soch kar hun chup
ye bhi sukhan-shanas ka andaz-dad tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close