ye bala mere sar chaDhi hi nahin

ye bala mere sar chadhi hi nahin
main ne kachche ghade ki pi hi nahin

aag aisi kabhi lagi hi nahin
ki lagi dil ki phir bujhi hi nahin

pi bhi yun jaise main ne pi hi nahin
munh se mere kabhi lagi hi nahin

dil na jab tak hua sharik-e-hina
mehndi un ki kabhi pisi hi nahin

shikan-e-zulf halqa-e-gesu
bediyan bhi hain hathkadi hi nahin

kaun leta balaen paikan ki
aarzu koi dil mein thi hi nahin

kis qadar hun bana hawa mein bhi
jaise main ne sharab pi hi nahin

dil mein kya aae kya chale dil se
tum ne chutki to koi li hi nahin

subh ka jhutputa tha sham na thi
wasl ki raat raat thi hi nahin

kyun sune shaikh qulqul-e-mina
us ne aisi kabhi suni hi nahin

aae aane ko fasl-e-gul sau bar
mere dil ki kali khili hi nahin

hae sabze mein wo siyah botal
kabhi aisi ghata uthi hi nahin

lag bhi dil se hai lagaw ke sath
dushmani bhi hai dosti hi nahin

munh lagana mera ek aafat tha
khum mein wo chiz jaise thi hi nahin

bazm-ara-e-hashr ke sadqe
mahfil aisi kabhi jami hi nahin

kuchh maze mein hum aa gae aise
tauba pine se hum ne ki hi nahin

koi na-khush 'riyaz' se kyun ho
us rawish ka wo aadmi hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close