ye barik unki kamar ho gai

ye barik un ki kamar ho gai
ki nazron mein tar-e-nazar ho gai

pada donon zulfon ka un ki jo aks
nazakat se dohri kamar ho gai

gale chadhne masti mein maston ke munh
badi dukhtar-e-raz ye nidar ho gai

wo ab kat tegh-e-nigah ka nahin
kuchh aankhon par un ki nazar ho gai

mera naqd-e-dil mar baithe hasin
ye daulat idhar se udhar ho gai

kiya un ke munh pe jo wasf-e-dahan
faqat ranjish is baat par ho gai

khuli khwab-e-ghaflat se piri mein aankh
shab-e-naujawani sahar ho gai

lifafe par apna na likkha tha nam
khata itni ai nama-bar ho gai

kiya hans ke sun kar sawal-e-visal
tumhein jurat ab is qadar ho gai

qadam rakhte hi khadkhada mar richh
adu un ki zanjir-e-dar ho gai

ajal se koi kah de phir jae aap
masiha ko mere khabar ho gai

na jhuton bhi utna kisi ne kaha
shab-e-gham teri be-sahar ho gai

bure ya bhale haal guzri 'qalaq'
gharaz har tarah se basar ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close