ye bole jo un ko kaha be-murawwat

ye bole jo un ko kaha be-murawwat
main kya tum se bhi hun siwa be-murawwat

laqab mere qatil ke kya puchhte ho
sitamgar na-ashna be-murawwat

un aaina-ruyon mein hai wo sitamgar
bada khud-gharaz khud-numa be-murawwat

tu wo kaj-ada hai jo duniya mein dhundhen
na tujh sa mile dusra be-murawwat

nahin us mein rahm-o-haya kuchh wo qatil
bada sang-dil hai bada be-murawwat

teri chashm-poshi se aankhon mein dam hai
idhar dekh o bewafa be-murawwat

siwa tere sare hasinon ko dekha
khunuk be-namak be-maza be-murawwat

gila jaur ka sun ke bole tumhein kya
main ahl-e-murawwat hun ya be-murawwat

jafaon ka us se gila kijiye jab
tu kahta hai wo bewafa be-murawwat

chalo dhundh lo ba-wafa aur koi
agar main hun na-ashna be-murawwat

'qalaq' uth gai rasm-e-ulfat jahan se
hasin sab hain duniya ke kya be-murawwat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close