ye bhi to kamal ho gaya hai zahir wo jamal ho gaya hai jis kaam mein hum ne hath dala wo kaam muhaal ho gaya hai guzri hui umar ka har ek pal minnat-kash-e-haal ho gaya hai dil kaun sa taza-dam tha pahle ab aur nidhaal ho gaya hai kuchh roz jo din phire hain apne wo shamil-e-haal ho gaya hai jo khwab se khun se kamaya wo muft ka mal ho gaya hai ye dekh ki tere samne kaun sar-ta-pa sawal ho gaya hai ai khauf-e-zawal tere hathon sab ru-ba-zawal ho gaya hai