ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasa bhi nahin ye kya hua ki mere lab pe iltija bhi nahin sitam hai ab bhi umid-e-wafa pe jita hai wo kam-nasib ki shaista-e-jafa bhi nahin nigah-e-naz-e-ibarat hai zindagi jis se sharik-e-dard to kya dard-ashna bhi nahin samajh raha hun amanat mata-e-sabr ko main agarche ab nigah-e-sabr-e-azma bhi nahin wo karwan-e-nishat-o-tarab kahan hamdam jo dhundhiye to kahin koi naqsh-e-pa bhi nahin hai dil ke waste sham-e-umid-o-mashal-o-rah wo ek nigah jise dil se wasta bhi nahin koi tabassum-e-jaan-bakhsh ko tarasta hai shahid-e-ishwa-e-rangin ka khun-baha bhi nahin ye kyun hai shoala-e-betab ki tarah muztar meri nazar ki abhi lutf-ashna bhi nahin ba-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mashhur wo ek fasana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin tamam harf-o-hikayat mita gai dil se nigah-e-naz ne kahne ko kuchh kaha bhi nahin wo kushta-e-karm-e-yar kya kare ki jise ba-in tabahi-e-dil shikwa-e-jafa bhi nahin