ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai

ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai
kasa-e-tamanna ke harf-e-muddaa sa hai

mere khun ki surkhi surkhi-e-wafa thahri
jis se ru-e-qatil bhi surkh-ru bana sa hai

qatl-gah-e-arman hai jis ki mahfil-e-ishrat
wo nigar-e-fitna-za paikar-e-wafa sa hai

jab se mujh ko hasil hai tere qurb ki daulat
naqsh-e-sang-e-painda mujh pe aaina sa hai

lafz aur mani ka ye talluq-e-baham
pesh-e-dida-e-bina rishta-e-wafa sa hai

rakhsh-e-fikr ko apne kijiye zara mahmez
nau-ba-nau mazamin ka dar abhi khula sa hai

bab-e-shahr-e-irfan ke nur-e-chashm ka hai faiz
parcham-e-jahul-e-waqt jo jhuka jhuka sa hai

dushmanon ke narghe mein main khada hun tanha sa
marka mohabbat ka jang-e-karbala sa hai

hont tere phulon se baat teri khushbu si
rup chand sa tera dil bhi aaina sa hai

parcham-e-mohabbat hai jab se mere hathon mein
dard dil-nashin sa hai zakhm dil-ruba sa hai

dam mein sar uthata hai dam mein tut jata hai
dil bhi bahr-e-ulfat mein koi bulbula sa hai

shor-e-hashr barpa hai ya ki shor-e-tanhai
hain bujhi bujhi aankhen dil dara dara sa hai

wo nigah-e-jaanan ka ghamza-e-bala-angez
mushaf-e-mohabbat ke harf-e-ibtida sa hai

mere dil ki khatir to ye fasana-e-hasti
zakhm-e-be-rafu sa hai dard-e-la-dawa sa hai

bas teri nigahon mein ehtijaj hai baatil
har jafa munasib si har sitam rawa sa hai

nind kyun nahin aati khwab khwab aankhon ko
shahr-e-jaan mein har jaanib kyun ye rat-jaga sa hai

chehra-e-mohabbat par hai usi se tabani
ye ghubar pa-e-naz ghaza-e-wafa sa hai

mujh ko mil hi jaegi ek na ek din manzil
bas isi tawaqqo par dil mein hausla sa hai

kaun hai jo rakhta hai dost is qadar mujh ko
ajnabi si duniya mein kaun aashna sa hai

ai 'zafar' na chhodega wo mujhe dua dena
yun to hai wo barham sa yun to wo khafa sa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close