ye kaise sanahe ab pesh aane lag gae hain

ye kaise sanahe ab pesh aane lag gae hain
tere aaghosh mein hum chhat-patane lag gae hain

bahut mumkin hai koi tir hum ko aa lagega
hum aise log jo panchhi udane lag gae hain

hamare bin bhala tanhai ghar mein kya hi karti
use bhi sath hi office mein lane lag gae hain

badan par shab ki barish ke chhinte pad gae the
parai dhup mein un ko sukhane lag gae hain

hawa ke ek hi jhonke mein ye phal gir padenge
ye budhe ped ke kandhe jhukane lag gae hain

nazar ke chauk pe barish jhama-jham gir rahi hai
to dil ke room mein gane purane lag gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close