ye kaisi pyas hai main jism ke sarab mein hun nikal ke jaun kidhar kaise iztirab mein hun chatan sar pe liye phir raha hun sadiyon se janam janam se na jaane mein kis azab mein hun tu mujh ko bhulna chahe to bhul sakta hai main ek harf-e-tamanna teri kitab mein hun main kya hun kaun hun kya chiz mujh mein muzmar hai kai hijab uthae magar hijab mein hun bikhar hi jaunga ek zarbat-e-sada to mile main ek raqs-e-sharar sina-e-rabab mein hun