ye khabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai ab to bas malum karna hai ki kya maujud hai ek main hun, jis ka hona ho ke bhi sabit nahin ek wo hai jo na ho kar ja-ba-ja maujud hai han khuda hai, is mein koi shak ki gunjaish nahin is se tum ye mat samajh lena khuda maujud hai hal kabhi hota nahin ye jism se chhute baghair main abhi zinda hun so ye masala maujud hai tab aankhen la saken us husn ki, mumkin nahin main to hairan hun ki ab tak aaina maujud hai raat katti hai maze mein chain se hoti hai subh chandni maujud hai baad-e-saba maujud hai raushni si aa rahi hai is taraf chhanti hui aur wo hiddat bhi jo zer-e-qaba maujud hai ek pal fursat kahan dete hain mujh ko mere gham ek ko bahla diya to dusra maujud hai dard ki shiddat mein bhi chalti hai mere dil ke sath ek dhadakti raushni jo har jagah maujud hai mo'tabar to qais ka qissa bhi hai is zimn mein is hawale se mera bhi waqia maujud hai khwab mein ek zakhm dekha tha badan par jis jagah subh dekha to wahan ek dagh sa maujud hai ek hi shoale se jalte aa rahe hain ye charagh 'mir' se mujh tak wahi ek silsila maujud hai yun to hai 'irfan' har ehsas hi mahdud sa ek kasak si hai ki jo be-intiha maujud hai