ye KHalq sari hawa mere nam kar degi

ye khalq sari hawa mere nam kar degi
mere charaghon ka jina haram kar degi

suna hai dhup ko ghar lautne ki jaldi hai
wo aaj waqt se pahle hi sham kar degi

kuchh aur der jo thahra main us ki aankhon mein
to chand taron ko mera ghulam kar degi

main apne daur se bad-zan hun ibtida to karun
ki agli nasl mera baqi kaam kar degi

phir is ke baad wo mujh se lipat ke roegi
safar ka thik se sab intizam kar degi

kharidne se to behtar hai us ko mang hi lun
wagarna unche bahut apne dam kar degi

batao is mein bhi us ka koi khasara hai
wo shahr-e-khwab abhi mere nam kar degi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close