ye kin hadon mein hamara dil-e-gharib aaya sahar ki chap pe khadsha hua raqib aaya tamam umr mein dhunda kiya ujalon ko na tera dard bhatak kar mere qarib aaya hazar bar isi raste se guzra hai mera wajud jo ab kucha-e-salib aaya usi ke sath guzari hain sainkadon ghadiyan wo ek shakhs jo mujh tak bahut ajib aaya