ye kis ke aane ke imkan dikhai dete hain

ye kis ke aane ke imkan dikhai dete hain
dil o nigah ghazal-khwan dikhai dete hain

wo ahl-e-dil jo tere aasre pe jite the
rahin-e-gardish-e-dauran dikhai dete hain

hamein to aaj bhi gham-ha-e-do-jahan hain aziz
wo aur hain jo gurezan dikhai dete hain

ek aag phir bhadak utthi hai dida o dil mein
kuchh ashk phir sar-e-mizhgan dikhai dete hain

ye kis ke jalwa-e-rangin ka aks hai 'shahzad'
dil o nigah firozan dikhai dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close