ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji

ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji
ye shahr tumhaara apna hai ise chhod na jao insha-ji

jitne bhi yahan ke basi hain sab ke sab tum se pyar karen
kya un se bhi munh pheroge ye zulm na dhao insha-ji

kya soch ke tum ne sinchi thi ye kesar kyari chahat ki
tum jin ko hansane aae the un ko na rulao insha-ji

tum lakh siyahat ke ho dhani ek baat hamari bhi mano
koi ja ke jahan se aata nahin us des na jao insha-ji

bikhraate ho sona harfon ka tum chandi jaise kaghaz par
phir in mein apne zakhmon ka mat zahr milao insha-ji

ek raat to kya wo hashr talak rakkhegi khula darwaze ko
kab laut ke tum ghar aaoge sajni ko batao insha-ji

nahin sirf 'qatil' ki baat yahan kahin 'sahir' hai kahin 'ali' hai
tum apne purane yaron se daman na chudao insha-ji


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close