ye kya maqam hai wo nazare kahan gae wo phul kya hue wo sitare kahan gae yaran-e-bazm jurat-e-rindana kya hui un mast ankhdiyon ke ishaare kahan gae ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya umde hue wo hosh ke dhaare kahan gae uftad kyun hai laghzish-e-mastana kyun nahin wo uzr-e-mai-kashi ke sahaare kahan gae dauran-e-zalzala jo panah-e-nigah the lete hue the panw pasare kahan gae bandha tha kya hawa pe wo ummid ka tilism rangini-e-nazar ke ghubare kahan gae uth uth ke baith baith chuki gard rah ki yaro wo qafile thake haare kahan gae har mir-e-karwan se mujhe puchhna pada sathi tere kidhar ko sidhaare kahan gae farma gae the rah mein baith intizar kar aae nahin palat ke wo pyare kahan gae tum se bhi jin ka ahd-e-wafa ustuwar tha ai dushmanon wo dost hamare kahan gae kashti nai bani ki utha le gaya koi takhte jo lag gae the kinare kahan gae ab dubton se puchhta phirta hai nakhuda jin ko laga chuka hun kinare kahan gae betab tere dard se the chaaragar 'hafiz' kya jaaniye wo dard ke mare kahan gae