ye peD ye pahaD zamin ki umang hain

ye ped ye pahad zamin ki umang hain
sare nasheb jin ki uthanon pe dang hain

bahar ho habs phir bhi daricha khula rakhun
ye khud tasalliyan mere jine ka dhang hain

dhundun ki intiha ki mujhe intiha mile
ye shash-jahat meri tamanna pe tang hain

ek umr ek makan ki tamir mein lage
ayyam se ziyaada garan khisht-o-sang hain

chahke hazar saut mein ye tair-e-nazar
kirnon ke pas yun to yahi sat rang hain

waise hamein nadamat-e-be-chehragi nahin
har-chand tere shahr mein be-nam-o-nang hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close