rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai

rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai
magar giraft mein aata nahin ki saya hai

jhulas rahe hain badan dhup ki tamazat se
ki raat bhar bade zoron ka abr barsa hai

abhi to kal ki thakan jism se nahin nikli
sitam ki aaj ka din bhi pahad jaisa hai

samajh rahe the jise ek mehrban baadal
wo aag ban ke hari ketiyon pe barsa hai

wo ek shakhs jise aaj tak nahin dekha
khayal-o-fikr pe us shakhs ka ijara hai

dabiz pardon ke pichhe na jhankiye ki wahan
gae dinon ko nishani bana ke rakkha hai

'shafiq' dhundne nikle the ghar se hum jis ko
wo kirchiyon ki tarah raston mein bikhra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close