ye soch ke rakh ho gaya hun

ye soch ke rakh ho gaya hun
main sham se subh tak jala hun

jis dil mein panah dhundhta tha
ab us se panah mangta hun

pahle bhi khuda ko manta tha
aur ab bhi khuda ko manta hun

wo jag raha ho shayad ab tak
ye soch ke main bhi jagta hun

ai mera khayal rakhne wale
kya main tere zehn mein basa hun

marta hun ki mar-mitunga aakhir
jine ko to umr-bhar jiya hun

har shakhs bichhad chuka hai mujh se
kya jaaniye kis ko dhundhta hun

hai mujh se hi zindagi ibarat
main zist ka talkh tajraba hun

kya samjhega koi mujh ko 'sabir'
main zat se apni mawara hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close