shab-e-wasl kya mukhtasar ho gai zara aankh jhapki sahar ho gai nigahon ne sab raaz-e-dil kah diya unhen aaj apni khabar ho gai badi chiz hai tarz-e-beganagi ye tarkib agar kargar ho gai ilahi bura ho gham-e-ishq ka suna hai ki un ko khabar ho gai kiye mujh pe ehsan gham-e-yar ne hamesha ko nichi nazar ho gai numayan hui subh-e-piri 'jigar' bas ab dastan mukhtasar ho gai