ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin masruf hum bahut hain magar be-khabar nahin ab to khud apne khun ne bhi saf kah diya main aap ka rahunga magar umr bhar nahin aa hi gae hain khwab to phir jaenge kahan aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin kitna jien kahan se jien aur kis liye ye ikhtiyar hum pe hai taqdir par nahin mazi ki rakh ultin to chingariyan milin be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin